Watan hamara Panun Kashmir
wular aur Dal ka nazara cheshma shahi ka aabshara

Nishat bagh ka woh faunwara Hari parbat ka woh qila

Gulistan hay mulk hamara

Watan hamara Panun Kashmir

Bijbehara ka woh sangam avavtipora ka pracheen khander

Tulamulla ka tuareekhi mandar Shankaracharya ka pahadi mandar

Gulistan hay mulk hamara

Watan hamara Panun Kashmir
Chakarishwar ka devi mandar hazratbal ki muqadus dargah
Rainawari ka gurudwara beech shahar ka woh girja
Gulistan hay mulk hamara
Watan hamara PanunKashmir
Anantnag akhrotoon ka ghar hay saeb Sopore mein ugte hain Lal bsszar mein pspier machie shawl qaleenoon ke daer padain hain
Gulistan hay mulk hamara
Watan hamara PanunKashmir Ek taraf Zojeela khada hay doosra muhafiz peer panchal hay Jhelum apne dil mr bahti badamoon ke bagh bare hain Gulistan hay mulk hamara Watan hamara Panun Kashmir Sharif nihate log bechare ghar se beghar darbadar phirte Apni aan ki hifazat karte din o raat woh kahte firte Gulistan hay mulk hamara Watan hamara Panun Kashmir

Nancy Bhushan Dhar

Disclaimer – KAII does not hold the responsibility for the authenticity of this article. The writer/author of this writeup is responsible for the content displayed. If anyone has any objections, please raise it immediately to admin@kashmirasitis.com with valid reasons.